Saturday, April 09, 2011

Sapna

Aap ke sansoo mai mere saanse ho
Aap ke hathon mai mere haath ho
Aap ke aankhon mai mere aankhein ho
Aap ke manzil mere manzil mai ho
Aap ke manzil aur meri manzil ek ho

Madh hosh ho gaya aap ko dekhkar
Kho gaya aur bool gaya apne aap ko
Sara jahaan ab mujhe rangeen dikhne laga
Aap ne bhar diya mere dil mai haseen ranghon ko

Fidaa hogaya dekh kar aapke haseen aankhe
Maghn hogaya dekh kar aapke koobsoorthi
Aap haakekat mein ho, ya sapno mein
Na jagu is sapne se, tinkha hi sahi , samet lu sare apne mai.

Friday, February 11, 2011

Its been really long writing... Will start soon .

Tuesday, October 23, 2007

Dil ki Kasak

Kasak si hai man mai, jab aap aathe ho
Aap ka muskurake dekh na muje acha lagtha hai
kho jatha hu aapke aankho ke geharai mai
Kyu lagtha hai ki mujhe aap se aur aap ko muj se mohabbat hai
Mohabbat bhi kya cheez hai,
jo zindhagi mai ek mehak si bhar dethi hai.

Chahatha hu ki aap ko dektha rahu,har din har roj
Chahatha hu choomna aap ke gulabhi hont aur jeel si aankhe
Chahatha hu pakad na aap ke haath zindhagi bhar keliye
Chahatha hu mai sari duniya ko batha du
ki mujhe aapse mohabbat hai
mujhe koee farak nahin aapki mazhab se
Mai jeena chahatha hu zindhagi ko pyar aur mohabbat se
Chavunga mai tujhe zindhagi bhar
Kasak si hai man mai, jab aap aathe ho

Thursday, September 06, 2007

One instance in my life

Jab bhi mai doobtha hua sooraj dekhu
Tho jaagthi ek aur din jeene ka ehsaas.

Magar is baar sooraj aisa doobha,
Ki khabhi na jaagegi.Mere jindhagi mai maayusi cha gayee.
Jaise mere ek aung hi toot gaya ho.
Muje sab kuch bikra hua diktha hai.

Abhi na muje phoolon ki kushbhu achi lagthi hai,
Na mujhe unke rang, na unmai bhaite bhawre.
Jab jindhagi ke rang aur kushbhoo ud jaaye tho aur kuch na bhaathi hai
Mujhe lagtha hai ki ye waqt hi mere ghaav ko maram lagasakthi hai.

Jeevan mai uthar chadav to aathe rehthe hai
Lagtha hai abhi mere waqt aaya hai
Jeena to padega hi, seek loonga mai jeena.
Jeevan mai khabhi to bhahaar aayega.
Dooba sooraj khabhi to ubhrega.

Thursday, May 24, 2007

Lost Love

I saw you in white and blue.
You had a gentle smile on your lips.
A smile which i craved to see in many.
I felt a tingle in my heart,
My heart skipped a beat.
I wanted to speak to you and tell you what i feel.

I don't expect much from you.
I just want to see and feel you for long.
I want to cling to you in my dreams.
I want to hold your hand gently and go for a long walk.
I want to seal your lips with a kiss.
I want to passionately love you.

Will i ever meet you again.
Will i ever get to spend quality time with you.
Will i ever get to express my feeling to you.
Will i ever get to see you in moon light.
Will i ever get to crush you between my shoulders.
Will you ever be my love.

Monday, February 20, 2006

Tum Meri Jindhagi Ho

Aisa Kyu lagtha hai ki tum meri zindhagi ho!
Aisa Kyu lagtha hai ki tum meri aarzoo ho!
Aisa Kyu lagtha hai ki mai tumse juda hua hu!
Aisa Kyu lagtha hai ki tum meri zaroorat ho!
Chahatha hu mai tumhe baho mai bharna.
Chahatha hu pherna apne haath tri zulfo ke gehraai tak.
Chahatha hu choomna teri naram hoto ko.
Chahatha hu tujhe apna banana.
Kaise kahu tuj se apne dil ki bath.
Ye dil ki teen shabdh kehna kitna mushkil hai.
Dar lagtha hai ki tum chod jaavo gi mujhe tanha.
Aisa Kyu lagtha hai ki tum meri zindhagi ho!

Sunday, January 29, 2006

Chand sa pari


Mai ne sunatha tha ki pari chaand me rehthi hai!
Jo sab se khoobsurat aur gunvaan hoti hai.
Jisne gam aur kushi dono dekhi hai
Jo har gam ko saamna karne keliye taiyaar hoti hai!
Jiski jitni tareef karo tho kam hai!
Maine sunatha ki pari chaand mai rehthi hai!

Hai pari tum jameen mai kab uthar aayi
Dek rahatha jise uske bachpan se
Jaana nahi kab meri jindhagi me aagayi
Kabhi nahi jaana uske andhruni khoobsurthi ko
Kabhi nahi dekha uske honto ko aur uski aankho ke gehraayi ko
Pata hi nahi chala kab ye chaand ki pari meri jindhagi mai aa gayi!
Hai pari ye chaandh sa dil ko thod na jaana!
Mujhe kabhi chod na jaana!

Monday, January 16, 2006

Khoya Rehta Hu

khoya rehta tha apni duniya me.
parwah nahi is duniya ki ya logo ki !
tanhayee me paya sukoon aur shanti,
nahi chahiye koi saathi aur uska pyar.
bin saathi hi,me bahut kush hu.
khoya rehta tha apni duniya me

Rehta hu me apne aashiyane me,
Apne chahane walo ke saath.
Jine me thais nahi pahoochata hu.
Mager anjaane me kar deta hu me galti.
Bin marzi ke pahuchaya thais sabhi ko.
Bin wajha dukhi hote hai sabhi.
Ye meri nakhabiliyat hai ya kamjori,
Ubhar na chahta hu is duniya se.
Nahi rehna chahta hu khoya khoya .

Wednesday, December 21, 2005

Khuli Khitab

Zindhagi thi meri ek khuli Khitab
aathe the sabhi kuch likne
aathe the kuch log meri Khitab padne
likthe the kalam se apni pyar ki daastan
to kuch faad ke jaathe Khitab ke panne
Meri zindhagi ek khuli Khitab hai
Aap aaye ho meri Khitab me ek gazal bankar
jo dethi hai meri Khitab ko ek ahmiyat
chaha tha hu ki tum chayee raho amar bankar
jaise aasman me chaandh aur sitaare
koie chura na sake ga is gazal ko is Khitab se
chura saktha hai meri zindhagi se nagmo ko,magar gazal nahi
Meri zindhagi ek khuli Khitab hai

Monday, November 07, 2005

Shaam

Ek din shaam ko nikla saagar kinare!
ubhar thi lehar ke paas,doobthe suraj ko dekhne.
Jaaker paya maine hazaaro log apne parivar ke saath.
Paya maine bacho ko pani mae khelthe,aur raeth me khila banathe.
Ek din shaam ko nikla saager kinare!
Neelae aasman se neeche aya suraj, saager mai dubki lagane
Jaise paani ke paas aaya, kam hone lagi uski roshni aur gharmi ka prokop.
Neela aasman ban gaya lal aur peela.
Doobthe hue suraj ko dekhar,umeed jaagi ek nayi subha ki
Eh ehsaas ki, ,jee sakunga ek aur din umang ki
Ek din shaam ko nikla saagar kinare!

Saath Kadam

Kehate hai ki sacha pyar,
Sath samunder door bhi bharastha hai.
Mera pyar to saath kadam door hai.
Phir bhi mera dil usse,
Dekh kar dhadak tha hai
Mere kadam usse dekh karbehak jaati hai.
Mai usse kitna door kartha huVo uthnihi kareeb aati hai
Mai ussse kitna bulaana chahatha hu,Vo uthnihi yaad aathi hai
dartha hu ki mai usse sesacha pyar na kar baitu
Kahi ye saath kadam ki doori,
Kahi saath kadam ki nazdeekiyana ban jaye

Wednesday, August 31, 2005

Zindhagi ki Kashthi


Hamari Zindhagi ek kashthi hai
Jo dhuniyadhari ke lehar me chalthi hai
Khabhi leharo me ubhar thi hai
Khabhi leharo ke bhawar me doob thi hai
Khabhi pawan se batheh karke udthi hai
Khabhi toofan ke dal dal me fasthi jaathi hai
Hamari Zindhagi ek kashthi hai

Zindhagi ki kashthi ko sahil kinara lathi hai
Khabhi ye sahil samundar ke beecho beech chod aathi hai
Yeh paewarthigar,tujse prathana hai
Ye kashthi khabhi doobe nahi,toote nahi
Yeh kashthi kahin beeran jagah na choo jaye
Bus duwa hai ki chalthi rahe
Is dhuniyadhari ki lehar me udthi rahe

Tuesday, August 09, 2005

Zukhi Palke

Ye zukhi palkho me chupathi
ho apni nighahoo ko
Kyu hum se chupathi
ho apni naina ko
Hum tharasthe hai hamare aankhe aap se milane keliye
Ek baar milado to hamara
dil behal jayega
Hame sukoon mil jayaga

Achi lagthi ho jab tum
leharake chalthi ho
Aap ke khule kesh
hamare hosh udhagaye
Aap ki meeti muskuraahat
hamare dil ko chugayi
Aap ki kilthe hoonto ko
dhek kar hame shayari aa gayi
Kaun hai aap jo hamare zindhagi
me is khadhar chaa gayi

Thursday, July 28, 2005

Liked from bottom of my heart

Liked a girl from bottom of my heart
She was humble
She was cheerfull
She was like a angel in the star
Liked a girl from bottom of my heart
She was like a colour of
butterfly in spring
She was like a stigma of hibiscus
She was like a dew on leaf
She was a rainbow in my heart
Liked a girl from bottom of my heart
I saw her in my dreamz,
on a windy saturday night
Will i find her in my real life
Will she be mine forever
Will she give me love,affection and care

Pyar Ka Gham

Woh tere pyar ka gham
Ek bahana tha sanam,
Ek din ye dil toot gaya sajan
Tune ye kyu kiya,
is me tuje kya mila
Khoya to sirf meine apna dil;
Woh tere pyar ka gham
Tera pyar ka gham to ek bahana tha sanam,
Ye na hotha to doosra hota
Ye zindhagi to gham se bhari padi hai,
Tera gham to ek tilkha hai,
Jo khabhi khabhi is zindhagi me yaad aati hai
Woh tera pyar ka gham

Tumhare Liye

Pahle aap ko dekha to achi nahi lagi,
Laga ki tumhe apne aap me guroor hai,
Laga ki aap ulji rehti ho apne aap me,
Laga ki aap ghamandi ho,
Laga ki tum aahankar se bhari ho;
Pehle aap ko dekha to achi nahi lagi

Pehle aap ko dekha to achi nahi lagi
Magar jaise waqt gujartha gaya,
Jaise aap kareeb aane lagi to pehchana.
Ki tum nadhan ho,boli ho,magar nasamaj nahi,
Ki tum hoshiyar ho,magar chalaak nahi.
Pehle aap ko dekha to achi nahi lagi

Ab jab jana to achi lagti ho.
Apne aap ko kahi badal na dehna.
Jaise tuhme maine paya,waise hi rehna
Ho sake to is buri duniya se bachana,
Apne aap ko aur hamari dosti ko;

What shall i say you are

What shall i say you are !
You are like first rain drop,
You are as pure and sweet as it.
You are like first ray of sunlight,
You are so charming and life giving
What shall i say you are !
You are soft and delicate,
you are like a flower
Your smile is like music,
Your body is perfumed, which is in my breath
What shall i say you are
I want to crush you between my shoulders
I want to hug you!
I want to seal your lips with a kiss,
I want to share my happiness and take your sorrow
I want to spend my entire life with you
What shall i say you are.